kitni unchi uTha di hai hijr ki sangin diwar tu ne
lambi bahut lambi mashriqain se maghribain tak
koi rauzan hai na darwaza is mein
lagta hai apne moajiz-numa hathon se banai hai KHud tu ne
bilkul teri tarah or hai na chhor is ka
dawa to karta hai ki nazdik-tar hai tu meri shah-rag se bhi
aur phir judai ke ye sare jatan
tera mera rishta bhi azal se ajib hai
tu hai nazar se ojhal tu hi qarib hai
tu hi mera habib hai tu hi raqib hai
to raat banata hai main charagh jalata aaya hun
hamare darmiyan khinchi diwar mein koi khiDki na rakkhi thi tu ne
dekh main ne khiDkiyon ki jagah jaDi hain is mein apni aankhen
nigar-KHana bana daya hai main ne andhi diwar ko
is ke ek ek patthar ko raushan kar Dala hai apni aankhon ke nur se
aur har patthar par likh diya hai tera nam main ne
magar koi ek nam thoDi hai tera
is liye har patthar par ek naya nam likha hai tera
waise bhi mere liye tu hi to hai mere KHaliq
andhera bhi hai tu ujala bhi tu hai
agar rang hai tu to KHushbu bhi tu hai
kanTa hai tu gar to tu hai gulab
ummid bhi tu meri yas bhi tu
saqi bhi tu hai meri pyas bhi tu
mera dard hai gar to hai chaaragar bhi
meri maut hai tu masiha bhi tu hai
sabhi kuchh hai tu aur tu hi hai sab kuchh
tere kaam sare tere nam sare
main kuchh bhi nahin hun tera kaam hun ek
main kuchh bhi nahin hun tera nam hun ek
Nazm
Man o tu
Mohammad Haneef Rame