suno agar tum KHatm karna hi chahte ho
to aadmi ko aadmi se karne wale aadmi ko KHatm kar do
us se wo sab kuchh chhin lo
jo tumhaare pas bahut pahle bhi nahin tha
aur baad mein bhi nahin hai
jab aag aur barf ki tasir ek hi hai
to donon ki alag alag shakl
tumhein kya de sakti hai
ya tum is se kya le sakte ho
siwae is ke ki tum aag ko KHatm kar do
aur barf ko bhi KHatm kar do
magar jo aag aur barf tumhaari ruh mein kahin rakhi hui thi
ya to tum ne kabhi lams nahin kiya
ya jo aadmi ruh mein rakha hua tha
use to tum ne kabhi nahin chhua
phir malum nahin us ka kaun sa jism
tumhaare hath laga
ki tum ne us ke TukDe TukDe kar ke
use rishton mein taqsim kar diya
man bap beTa beTi bhai bahan
aur un par hukumat karne wale
badtarin mahkum bhi tum hi nikle
yani kisi man bap ne
apne beTe aur beTi ki aag ko janm de ke
kabhi is par ghaDi-bhar sar rakh ke sona chaha
to use sone nahin diya gaya
phir jab bhai bahan alag alag
apni aag aur barf ki tijarat ko nikle
to is mein aadmi hi shamil nahin tha
ya shayad aadmi ka hi nam KHasara rakha gaya
phir bhi jab tumhaara bisat bhar hona hi
tumhaara muqaddar Thahra
to yaad karo ki wo tum hi the ya tum nahin the
ya jise KHuda ke aaKHiri jawab mein
aawaz di gai pukara gaya
is se baDh ke bhi koi dukh kya ho sakta hai ki
bichhDi hui zindagi ke bichhDe hue peD yaad na rahen
phir bhi zara muD ke dekho to sahi
ki kahin suraj sawa-neze pe to nahin aa chuka
kaenat kahan hai
zamin to kaenat se KHali hai
bina kaenat ke bhi koi zamin zamin ho sakti hai
bina suraj ke bhi koi dhup dhup ho sakti hai
bina chand ke bhi koi chandni chandni ho sakti hai
yani koi din din nahin
yani koi raat raat nahin
yani koi aab-o-hawa aab-o-hawa nahin
yani koi mausam mausam nahin
yani zamin par zamin hi nahin aur bahut kuchh hai
agar darwaza ko kholne aur band karne wala hi na ho to
koi khula darwaza band darwaza se bhi ziyaada band hota hai
koi shahr chaaron taraf se khula ho aur band bhi ho
to samajh lo ki is mein rahne wale rahte hue bhi nahin rahte
is mein koi maKHluq rahti hai
zamin ke kisi mulk mein bhi tariKH ki virani ke siwa
koi aabaad nahin
jab aadmi ke munh aankh nak aur kan ke hote hue bhi
aadmi ki shakl nahin banti
to koi aawaz aawaz hote hue bhi aawaz kaise ho sakti hai
to bolte hue bhi kaise bol sakta hai
to koi dekhte hue bhi kaise dekh sakta hai
to koi sunghte hue bhi kaise sungh sakta hai
to koi sunte hue bhi kaise sun sakta hai
suno ummid to maut ke hath mein ek kaam hai
jise wo tumhaari gardan mein shikanja kar ke aage hi aage chalti chali jati hai
aur tum ke us pichhe kashan kashan khinche chale jate ho
magar wo duniya to ab kahin nahin rahi
wo to tumhaari zamin mein ya tum mein kahin gum ho gai
Nazm
Makashafa
Ahmad Hamesh