main ne dekha dard ki shiddat se bechain kisi virane ki samt chala jata hun
ghane banon ke baad khule maidanon mein ret hi ret hai
aur hawa mein ret ke nanhe zarre jagmag jagmag tair rahe hain
kuchh aadhe pure peD hain
haiwani Dhanche salim aur adhure sab chup-chap hain
dur pahaDi ke pichhe nur ka lawa ubal raha hai
lakhon kirnon ke tir faza mein tairte phirte hain
jo bhi zad mein aata hai
us ka joD joD bikhar jata hai
hara-bhara ek peD hai
jis ke aadhe hisse ki shaKHen phal aur phul sabhi
phul-jhaDiyon ki tarah sulag sulag kar girte hain
yun lagta hai
jaise kuchh hi der mein sari faza
zar-kar chamakte bujhte zarron se bhar jaegi
sare jism pighal jaenge
ek kiran
meri peshani pe lagi thi
jazb hui
aur jaise kisi ne mera hath pakaD kar pichhe khinch liya
sui ki ek nok chubhi aur TuT gai
tab se meri rag rag mein tairti
andar hi andar mujh ko chhalni karti rahti hai
tab se main ek chiKHti chillati bechain hawa hun
parbat parbat sar Takraata hun
mera ghar-bar luTa paDa hai
jis ke TukDe TukDe kar ke
mere har waris ne apna apna hissa banT liya hai
tab se ye duniya kitni chhoTi lagti hai
main is mein kaise sama paunga
saKHt chaTTanen mere bojh se
daldal ki manind zamin mein dhans jati hai
kaise paun dharunga
kis se pyar karunga
mere karb ko kaun sahega
wo hath kahan hai
kaisi parchhain hai
tum ho main hun
main to KHud bhi apne sath nahin
Nazm
Maine dekha
Qazi Saleem