kitni viran hai ye mahfil-e-shab
na sitare na charagh
ek ghani dhund hai gardun pe muhit
chand hai chand ka dagh
phailte jate hain manzar ke KHutut
bujhta jata hai dimagh
raste ghul gae tariki mein
toD kar zoam-e-safar
kaun had-e-nazar dekh sake
miT gai had-e-nazar
saikDon manzilen tai kar to chuke
lekin ab jaen kidhar
aasman hai na zamin hai shayad
kuchh nahin kuchh nahin
in KHalaon mein pukaren to kise
koi sunta hi nahin
ek duniya to hai ye bhi lekin
apni duniya si nahin
dosto aao qarib aa jao
aa ke dekho to sahi
ek halqe mein bujhi aankhon ko
la ke dekho to sahi
shayad aawaz pe aawaz aae!
de ke dekho to sahi
Nazm
Mahfil-e-shab
Ahmad Nadeem Qasmi