mashriq ka diya gul hota hai maghrib pe siyahi chhati hai
har dil san sa ho jata hai har sans ki lau tharraati hai
uttar dakhkhin purab pachchhim har samt se ek chiKH aati hai
nau-e-insan kandhon pe liye gandhi ki arthi jati hai
aakash ke tare bujhte hain dharti se dhuan sa uThta hai
duniya ko ye lagta hai jaise sar se koi saya uThta hai
kuchh der ko nabz-e-alam bhi chalte chalte ruk jati hai
har mulk ka parcham girta hai har qaum ko hichki aati hai
tahzib jahan tharraati hai tariKH-e-bashar sharmati hai
maut apne kaTe par KHud jaise dil hi dil mein pachhtati hai
insan wo uTha jis ka sani sadiyon mein bhi duniya jan na saki
murat wo miTi naqqash se bhi joban ke dobara ban na saki
dekha nahin jata aankhon se ye manzar-e-ibratnak-e-watan
phulon ke lahu ke pyase hain apne hi KHas-o-KHashak-e-watan
hathon se bujhaya KHud apne wo shoala-e-ruh pak-e-watan
dagh us se siyah-tar koi nahin daman pe tere ai KHak-e-watan
paigham-e-ajal lai apne us sab se baDe mohsin ke liye
ai wa-e-tulu-e-azadi aazad hue us din ke liye
jab naKHun-e-hikmat hi TuTe dushwar ko aasan kaun kare
jab KHushk hua abr-e-baran hi shaKHon ko gul-afshan kaun kare
jab shoala-e-mina sard ho KHud jamon ko farozan kaun kare
jab suraj hi gul ho jae taron mein charaghan kaun kare
nashad watan afsos teri qismat ka sitara TuT gaya
ungli ko pakaD kar chalte the jis ki wahi rahbar chhuT gaya
us husn se kuchh hasti mein teri azdad hue the aa ke baham
ek KHwab-o-haqiqat ka sangam miTTi pe qadam nazron mein iram
ek jism-e-nahif-o-zar magar ek azm-e-jawan-o-mustahkam
chashm-e-bina masum ka dil KHurshid nafas zauq-e-shabnam
wo ijz-e-ghurur-e-sultan bhi jis ke aage jhuk jata tha
wo mom ki jis se Takra kar lohe ko pasina aata tha
sine mein jo de kanTon ko bhi ja us gul ki latafat kya kahiye
jo zahar piye amrit kar ke us lab ki halawat kya kahiye
jis sans mein duniya jaan pae us sans ki nikhat kya kahiye
jis maut pe hasti naz kare us maut ki azmat kya kahiye
ye maut na thi qudrat ne tere sar par rakkha ek taj-e-hayat
thi zist teri meraj-e-wafa aur maut teri meraj-e-hayat
yaksan nazdik-o-dur pe tha baran-e-faiz-e-am tera
har dasht-o-chaman har koh-o-daman mein gunja hai paigham tera
har KHushk-o-tar hasti pe raqam hai KHatt-e-jali mein nam tera
har zarre mein tera mabad har qatra tirath dham tera
us lutf-o-karam ke aain mein mar kar bhi na kuchh tarmim hui
is mulk ke kone kone mein miTTi bhi teri taqsim hui
tariKH mein qaumon ki ubhre kaise kaise mumtaz bashar
kuchh mulk ke taKHt-nashin kuchh taKHt-falak ke taj-basar
apnon ke liye jam-o-sahba auron ke liye shamshir-o-tabar
nard-e-insan piTti hi rahi duniya ki bisat-e-taqat par
maKHluq KHuda ki ban ke sipar maidan mein dilawar ek tu hi
iman ke payambar aae bahut insan ka payambar ek tu hi
bazu-e-farda uD uD ke thake teri rifat tak ja na sake
zehnon ki tajalli kaam aai KHake bhi tere hath aa na sake
alfaz-o-mani KHatm hue unwan bhi tera apna na sake
nazron ke kanwal jal jal ke bujhe parchhain bhi teri pa na sake
har ilm-o-yaqin se baala-tar tu hai wo siphar-e-tabinda
sufi ki jahan nichi hai nazar shair ka tasawwur sharminda
pasti-e-siyasat ko tu ne apne qamat se rifat di
iman ki tang-KHayali ko insan ke gham ki wusat di
har sans se dars-e-aman diya har jabr pe dad-e-ulfat di
qatil ko bhi gar lab hil na sake aankhon se dua-e-rahmat di
hinsa ko ahinsa ka apni paigham sunane aaya tha
nafrat ki mari duniya mein ek prem sandesa laya tha
us prem sandese ko tere sinon ki amanat banna hai
sinon se kudurat dhone ko ek mauj-e-nadamat banna hai
us mauj ko baDhte baDhte phir sailab-e-mohabbat banna hai
us sail-e-rawan ke dhaare ko is mulk ki qismat banna hai
jab tak na bahega ye dhaara shadab na hoga bagh tera
ai KHak-e-watan daman se tere Dhulne ka nahin ye dagh tera
jate jate bhi to hum ko ek zist ka unwan de ke gaya
bujhti hui sham-e-mahfil ko phir shoala-e-raqsan de ke gaya
bhaTke hue gam-e-insan ko phir jada-e-insan de ke gaya
har sahil-e-zulmat ko apna minar-e-daraKHshan de ke gaya
tu chup hai lekin sadiyon tak gunjegi sada-e-saz teri
duniya ko andheri raaton mein Dhaaras degi aawaz teri
Nazm
Mahatma-gandhi ka qatl
Anand Narayan Mulla