hum amn chahte hain magar zulm ke KHilaf
gar jang lazmi hai to phir jang hi sahi
zalim ko jo na roke wo shamil hai zulm mein
qatil ko jo na Toke wo qatil ke sath hai
hum sar-ba-kaf uThe hain ki haq fatah-yab ho
kah do use jo lashkar-e-baatil ke sath hai
is Dhang par hai zor to ye Dhang hi sahi
zalim ki koi zat na mazhab na koi qaum
zalim ke lab pe zikr bhi in ka gunah hai
phalti nahin hai shaKH-e-sitam is zamin par
tariKH jaanti hai zamana gawah hai
kuchh kor-baatinon ki nazar tang hi sahi
ye zar ki jang hai na zaminon ki jang hai
ye jang hai baqa ke usulon ke waste
jo KHun hum ne nazr diya hai zamin ko
wo KHun hai gulab ke phulon ke waste
phuTegi subh-e-amn lahu-rang hi sahi
Nazm
Magar zulm ke KHilaf
Sahir Ludhianvi