tumhaare nam tumhaare nishan se be-sarokar
tumhaari yaad ke mausam guzarte jate hain
bas ek nazr-e-be-hijr-o-visal hai jis mein
hum apne aap hi kuchh rang bharte jate hain
na wo nashat-e-tasawwur ki lo tum aa hi gae
na zaKHm-e-dil ki hai sozish koi jo sahni ho
na koi wada-o-paiman ki sham hai na sahar
na shauq ki hai koi dastan jo kahni ho
nahin jo mahmil-e-laila-e-arzu sar-e-rah
to ab faza mein faza ke siwa kuchh aur nahin
nahin jo mauj-e-saba mein koi shamim-e-payam
to ab saba mein saba ke siwa kuchh aur nahin
utar de jo kinare pe hum ko kashti-e-wahm
to gird-o-pesh ko girdab hi samajhte hain
tumhaare rang mahakte hain KHwab mein jab bhi
to KHwab mein bhi unhen KHwab hi samajhte hain
na koi zaKHm na marham ki zindagi apni
guzar rahi hai har ehsas ko ganwane mein
magar ye zaKHm ye marham bhi kam nahin shayad
ki hum hain ek zamin par aur ek zamane mein
Nazm
Magar ye zaKHm ye marham
Jaun Eliya