sham-e-hangam to hum hai
tasawwur ke khaTolon pe saji
apne ajdad ke ayyam ki
taswiren damak uThi hain
aise lagta hai ki
zarron se nikalte the qamar
zindagi raqs-kunan
nazan-o-shadab hua karti thi
naddiyan dudh ki bahti thin
moattar thi hawa
mahfil-e-hast mein
har su the rasile panghaT
sabz peDon pe khila karte the naghmon ke gulab
wahshat-e-atish-e-auqat ki illat to kuja
koi darmandagi ke nam se waqif bhi na tha
kitne manzar the jinhen KHuld ke manzar kahiye
rup ki nagri mein sangit ke sagar kahiye
aaj chehron pe masarrat bhi sarasima hai
wahshat-e-atish-e-auqat ne
aafat ke shoale phenke
har taraf maut ke jwala-mukhi ka lawa
sans lene se pighal jate hain uDte panchhi
araz-e-tahzib ke sine mein numu-yafta zahrile juzam
qaf gulfam ki aabaadi ko le Dube hain
waqt ki god mein sukhe bachche
chaar-su ghumte laghar ranjhe
nae changez nae nadir-shah
aahan ho sharba ke shab-diz
kahin maktab-e-naKHshab ke
fusun-kar bagule hain ki
sarsam ke sar chashme hain
gunjte shahpar-e-aseb ke KHuni panje
aadam-e-shaeq-e-fitrat ke liye
qufl abjad bhi hain
zanjiren bhi
rup ki nagri mein bahrup ke tajir aae
dur deson ke fusun-kar
zar kaghaz rahat ke liye
chaar-su kushton ke pushte bhi lage hain dekho
kis qadar KHun-baha baqi hai
aankhen pathrai hain maon ki
ghulaman-e-rusum-e-amwaj
apni aqlim ki mearaj
kahan baiThe hain
zarre zarre se nikalte hain andhere bichchhu
nadi nalon mein hawaon mein lahu
KHuld mashriq mein lahu
jannat maghrib mein lahu
rup ki nagri mein
sangit ke sagar mein lahu
meri masjid mein lahu
aap ke mandir mein lahu
dekhna ghaur se ai chaaragaro
meri bakal mein lahu
aap ki chadar mein lahu
Nazm
Madd-o-jazr
Saadat Saeed