koi nazm kaise kahen ki hum
na charagh hain
na misal-e-harf-e-gulab hain
na KHayal hain
na kisi ki aankh ka KHwab hain
kisi gum-shuda si wafaon ki
kisi sham mein
jo bichhaD gae
to bichhaDne walon ki yaad mein
kahin ret hain
kahin ashk-e-gham ka ghubar hain
wo jo dasht
hijr ka hai kahin
isi dasht-e-sham judai ke
ye jo dagh hain
teri yaad ke
tere baad ke
koi nazm kaise kahen ki hum
na charagh hain
na misal-e-harf-e-gulab hain
na KHayal hain
na kisi ki aankh ka KHwab hain
ye jo shahr hai
to ye shahr bhi
saf-e-dushmanan se mila hua
ye jo log hain
to ye log bhi
kahan jaante hain ki kya hua
koi nazm kaise kahin
ki hum
ye faza hi aisi nahin rahi
jo charagh koi jalaen hum
to hawa hi aisi
nahin rahi
tahi-e-fikr aise hue hain hum
tere KHal-o-KHad ka bayan bhi ab
na hamare dast-e-hunar mein tha
na hamare dast-e-hunar mein hai
Nazm
Mazarat
Munawwar Jameel