aap be-wajh pareshan si kyun hain madam
log kahte hain to phir Thik hi kahte honge
mere ahbab ne tahzib na sikhi hogi
mere mahaul mein insan na rahte honge
nur-e-sarmaya se hai ru-e-tamaddun ki jila
hum jahan hain wahan tahzib nahin pal sakti
muflisi hiss-e-latafat ko miTa deti hai
bhuk aadab ke sanchon mein nahin Dhal sakti
log kahte hain to logon pe tajjub kaisa
sach to kahte hain ki nadaron ki izzat kaisi
log kahte hain magar aap abhi tak chup hain
aap bhi kahiye gharibon mein sharafat kaisi
nek madam bahut jald wo daur aaega
jab hamein zist ke adwar parakhne honge
apni zillat ki qasam aap ki azmat ki qasam
hum ko tazim ke mear parakhne honge
hum ne har daur mein tazlil sahi hai lekin
hum ne har daur ke chehre ko ziya baKHshi hai
hum ne har daur mein mehnat ke sitam jhele hain
hum ne har daur ke hathon ko hina baKHshi hai
lekin in talKH mabahis se bhala kya hasil
log kahte hain to phir Thik hi kahte honge
mere ahbab ne tahzib na sikhi hogi
main jahan hun wahan insan na rahte honge
wajh-e-be-rangi-e-gulzar kahun ya na kahun
kaun hai kitna gunahgar kahun ya na kahun
Nazm
Madam
Sahir Ludhianvi