اردو हिंदी
Ma-baad-ut-tabiat | Shaahi Shayari
ma-baad-ut-tabiat

Nazm

Ma-baad-ut-tabiat

Ahmad Hamesh

;

ghalat logon ki barish ho rahi hai
pani ki bajae un ki nahusat baras rahi hai

ek kutta raat aur din ke darmiyan khaDa ro raha hai
ghalat barish nahusat aur kutte ki aawaz se

zindagi ke kisi bhi farsh par sulane wali nind lazim hai
magar nind ko to aadmi ki aankhon ke upar se uTha liya gaya hai

yani ab qayamat tak sirf jagna hai
aur us ke siwa maidan-e-hashr ho bhi kya sakta hai

koi nahin jaanta ki jaanne se pahle kis ne kitna jaana
kis ne azal aur abad ke tul-o-arz ko jaana

ya jaane baghair hi ghalat zamin ki ghalat duniya mein ghalat zindagi guzri gai
to kya wo maut thi jo kisi ko zindagi se le jaane ke liye aai ya nahin aai

magar ye jo sare manzar kisi nahusat ne dikhae
wo kis nam ki buniyaad se shurua hui

ya shurua na ho ke kis nam par KHatm hui
KHatm hui bhi ya nahin

jhuT ne sach se kya kaha
ya sach ne jhuT se kya kaha

hamare hote hue jo bisat-e-zindagi uTha di gai
wo ab kaun bichhae

hawa ne kabhi koi diya raushan nahin kiya
hamare hote hue jo bisat-e-zindagi uTha di gai

wo ab kaun bichhae
hawa ne kabhi koi diya raushan nahin kiya

to jab hum nahin honge
phir hamare banae hoe rasta par kaun chalega

mohabbat nam deti hai nam miTati nahin
to ab mohabbat ko mohabbat se KHatra lahaq hai

wahshat se kaho ki wo zara khiDki khol kar dekhe
kahin duniya boliyon aur zabanon ka malba ho chuki ho aur hamein pata na chala ho

kahin malbe se DhunDh DhunDh ke tarah tarah ke bazar nikale aur lagae ja rahe hun
aur hamein pata na chala ho

zara edison ki ruh se puchho
us ke bulb KHwab-gah aur murda-KHane mein ba-yak-waqt kyun raushan hote hain

mohabbat jab aawaz bani
to aawaz se boliyan aur zabanen kab banin

kya zamin par koi jang
zamin ke bahar laDi gai

agar nahin to kya zamin par saton aasman nazil hue
agar nahin to zamin par zamin nazil hui