اردو हिंदी
LuDhakta patthar | Shaahi Shayari
luDhakta patthar

Nazm

LuDhakta patthar

Qateel Shifai

;

raushni Dub gai chand ne munh Dhanp liya
ab koi rah dikhai nahin deti mujh ko

mere ehsas mein kohram macha hai lekin
koi aawaz sunai nahin deti mujh ko

raat ke hath ne kirnon ka gala ghunT diya
jaise ho jae zamin-bos shiwala koi

ye ghaTa-Top andhera ye ghana sannaTa
ab koi git hai baqi na ujala koi

jis ne chhup-chhup ke jalaya meri ummidon ko
wo sulagti hui ThanDak mere ghar tak pahunchi

dekhte dekhte sailab-e-hawas phail gaya
mauj-e-payab ubhar kar mere sar tak pahunchi

mere tarik gharaunde ko udasi de kar
muskuraate hain darichon mein ishaare kya kya

uf ye ummid ka madfan ye mohabbat ka mazar
is mein dekhe hain tabahi ke nazare kya kya

jis ne aaankhon mein sitare se kabhi ghole the
aaj ehsas pe kajal sa bikhera us ne

jis ne KHud aa ke TaTola tha mere sine ko
le liya ghair ke pahlu mein basera us ne

wo talawwun ki nahin jis ka Thikana koi
us ke andaz-e-kuhan aaj nae taur ke hain

wahi bebak ishaare wahi bhaDke hue git
kal mere hath bike aaj kisi aur ke hain

wo mahakta sa chahakta sa ubalta sina
us ki miad hai do roz lipaTne ke liye

zulf bikhri hui bikhri to nahin rah sakti
phailta hai koi saya to simaTne ke liye