firdaus-e-husn-o-ishq hai daman-e-lucknow
aankhon mein bas rahe hain ghazalan-e-lucknow
sabr-azma hai ghamza-e-turkan-e-lucknow
rashk-e-zanan-e-misr kanizan-e-lucknow
har samt ek hujum-e-nigaran-e-lucknow
aur main ki ek shoKH-ghazal-KHwan-e-lucknow
mutrib bhi hai sharab bhi abr-e-bahaar bhi
shiraaz ban gaya hai shabistan-e-lucknow
tole hue hai tegh-o-sinan husn-e-be-naqab
nawak-fagan hai jalwa-e-pinhan-e-lucknow
ek nau-bahaar-e-naz ko take hai phir nigah
wo nau-bahaar-e-naz ki hai jaan-e-lucknow
dast-e-junun ko rokiye ye KHabt chhoDiye
ruswa hai yunhi chaak-e-gareban-e-lucknow
kuchh rose ka musafir-o-mehman hun aur kya
kyun bad-guman hon yusuf-e-kanan-e-lucknow
ab us ke baad subh hai aur subh-e-nau 'majaz'
hum par hai KHatm sham-e-ghariban-e-lucknow
Nazm
Lucknow
Asrar-ul-Haq Majaz