اردو हिंदी
Lazzat-e-agahi | Shaahi Shayari
lazzat-e-agahi

Nazm

Lazzat-e-agahi

Ahmad Nadeem Qasmi

;

main ajib lazzat-e-agahi se do chaar hun
yahi aagahi mera lutf hai mera karb hai

ki main jaanta hun
main jaanta hun ki dil mein jitni sadaqaten hain

wo tir hain
jo chalen to naghma sunai de

jo hadaf pe ja ke lagen to kuchh bhi na bach sake
ki sadaqaton ki nafi hamari hayat hai

mere dil mein aisi haqiqaton ne panah li hai
ki jin pe ek nigah Dalna

surajon ko butun-e-jaan mein utarna hai
main jaanta hun

ki hakimon ka jo hukm hai
wo dar-asl adl ka KHauf hai

wo sazaen dete hain
aur nahin jaante

ki jitni sazaen hain
wo sitamgari ki ridaen hain

mujhe ilm hai
yahi ilm mera surur hai ye ilm mera azab hai

yahi ilm mera nasha hai
aur mujhe ilm hai

ki jo zahr hai wo nashe ka dusra nam hai
main ajib lazzat-e-agahi se do-chaar hun