اردو हिंदी
Lafzon ki dukan mein | Shaahi Shayari
lafzon ki dukan mein

Nazm

Lafzon ki dukan mein

Mughni Tabassum

;

kali billi ne ye bhi nahin socha ki main kisi nind mein KHalal ho rahi hun
us ko to chuhon se matlab hai

aur ye kam-baKHt apni bilon mein chhupe kyun nahin rahte
azal se yahi ho raha hai

ghaDi ne shayad bara baja diye hain
ye KHuda ke aaram ka waqt hai

aur wo shab bedar use sone nahin dete
apne burte par gunah karte to duaon ki naubat hi kyun aati

lekin ye baat un ki samajh mein nahin aaegi
baaton ke pher ne hi hum ko janam diya hai

warna zamin ke kokh kahan thi
phir hum ne jannat banai aur use jahannam mein jhonk diya

ab ye pahchanna baDa mushkil hai ki kaun kahan se shurua hota hai aur kaun kahan KHatm hoti hai
pahle daeron se zawiye nikalte the

ab zawiye daere banate hain
muKHtasar ye ki dalilon ne apna kaam chhoD diya hai