lab pe pabandi to hai ehsas par pahra to hai
phir bhi ahl-e-dil ko ahwal-e-bashar kahna to hai
KHun-e-ada se na ho KHun-e-shahidan hi se ho
kuchh na kuchh is daur mein rang-e-chaman nikhra to hai
apni ghairat bech Dalin apna maslak chhoD den
rahnumaon mein bhi kuchh logon ka ye mansha to hai
hai jinhen sab se ziyaada dawa-e-hubbulwatan
aaj un ki wajh se hubb-e-watan ruswa to hai
bujh rahe hain ek ek kar ke aqidon ke diye
is andhere ka bhi lekin samna karna to hai
jhuT kyun bolin farogh-e-maslahat ke nam par
zindagi pyari sahi lekin hamein marna to hai
Nazm
Lab pe pabandi to hai
Sahir Ludhianvi