raha wo jirga jise char gai hai angrezi
so wan KHuda ki zarurat na ambiya darkar
wo aankh mich ke bar-KHud ghalat bane aise
ki asia ki har ek chiz par paDi dhutkar
jo poshishon mein hai poshish to pas-darida-coat
sawariyon mein sawari to dum-kaTa rahwar
jo ardali mein hai kutta to hath mein ek bed
bajate jate hain siTi sulag raha hai sigar
wo apne-ap ko samjhe hue hain gentleman
aur apni qaum ke logon ko jaante hain gawanr
na kuchh adab hai na aKHlaq ne KHuda-tarsi
gae hain un ke KHayalat sab samundar par
wo apne zoam mein liberal hain ya radical hain
magar hain qaum ke haq mein ba-surat-e-aghyar
na india mein rahe wo na wo bane english
na un ko charch mein honor na masjidon mein bar
na koi alam na sanat na kuchh hunar na kamal
tamam qaum ke sar par sawar hai adbar
Nazm
Korana angrez-parasti
Ismail Merathi