kisi ki yaad ka chehra
mere viran ghar ki adh-khuli khiDki se
jo mujh ko bulata hai
samay ki aankh se TuTa hua tara
jo akasr raat ki palkon ke pichhe jhilmilata hai
use main bhul jaungi
mulaem kasni lamha
kahin bite zamanon se nikal kar muskuraata hai
koi bhula hua naghma
faza mein chupke chupke phail jata hai
bahut din se kisi ummid ka saya
kaThin rahon mein mere sath aata hai
use main bhul jaungi
purani Diary ki shoKH tahriron mein
jo ek nam baqi hai
kisi manzar ki KHushbu mein rachi
jo rahat-e-gumnam baqi hai
adhure naqsh ki takmil ka
jitna bhi jo bhi kaam baqi hai
ye jitne did ke lamhe
ye jitni sham baqi hai
use main bhul jaungi
kisi ki yaad ka chehra
use main bhul jaungi
use main bhul jaungi
main akasr sochti to hun
magar wo yaad ka chehra!!
magar wo adh-khuli khiDki!!
Nazm
Kisi ki yaad ka chehra
Gulnaz Kausar