chir ke sal mein do bar zamin ka sina
dafn ho jata hun
gudgudate hain jo suraj ke sunahre naKHun
phir nikal aata hun
ab nikalta hun to itna ki baTore jo koi daman mein
daman phaT jae
ghar ke jis kone mein le ja ke koi rakh de mujhe
bhuk wahan se haT jae
phir mujhe piste hain, gundhte hain, senkte hain
gundhne senkne mein shakl badal jati hai
aur ho jati hai mushkil pahchan
phir bhi rahta hun kisan
wahi KHasta, bad-haal
qarz ke panja-e-KHunin mein niDhaal
is daranti ke tufail
kuchh hai mazi se ghanimat mera haal
haal se hoga hasin istiqbaal
uThte suraj ko zara dekho to
ho gaya sara ufuq laln-lal
Nazm
Kisan
Kaifi Azmi