main ne muddat se koi KHwab nahin dekha hai
raat khilne ka gulabon se mahak aane ka
os ki bundon mein suraj ke sama jaane ka
chand si miTTi ke zarron se sada aane ka
shahr se dur kisi ganw mein rah jaane ka
khet khaliyanon mein baghon mein kahin gane ka
subah ghar chhoDne ka der se ghar aane ka
bahte jharnon ki khanakti hui aawazon ka
chahchahati hui chiDiyon se ladi shaKHon ka
nargisi aankhon mein hansti hui nadani ka
muskuraate hue chehre ki ghazal KHwani ka
tera ho jaane tere pyar mein kho jaane ka
tera kahlane ka tera hi nazar aane ka
main ne muddat se koi KHwab nahin dekha hai
hath rakh de meri aankhon pe ki nind aa jae
Nazm
KHwab nahin dekha hai
Waseem Barelvi