zulm phir zulm hai baDhta hai to miT jata hai
KHun phir KHun hai Tapkega to jam jaega
KHak-e-sahra pe jame ya kaf-e-qatil pe jame
farq-e-insaf pe ya pa-e-salasil pe jame
tegh-e-be-dad pe ya lasha-e-bismil pe jame
KHun phir KHun hai Tapkega to jam jaega
lakh baiThe koi chhup-chhup ke kamin-gahon mein
KHun KHud deta hai jalladon ke maskan ka suragh
sazishen lakh uDati rahin zulmat ki naqab
le ke har bund nikalti hai hatheli pe charagh
zulm ki qismat-e-nakara-o-ruswa se kaho
jabr ki hikmat-e-parkar ke ima se kaho
mahmil-e-majlis-e-aqwam ki laila se kaho
KHun diwana hai daman pe lapak sakta hai
shoala-e-tund hai KHirman pe lapak sakta hai
tum ne jis KHun ko maqtal mein dabana chaha
aaj wo kucha o bazar mein aa nikla hai
kahin shoala kahin nara kahin patthar ban kar
KHun chalta hai to rukta nahin sanginon se
sar uThata hai to dabta nahin aainon se
zulm ki baat hi kya zulm ki auqat hi kya
zulm bas zulm hai aaghaz se anjam talak
KHun phir KHun hai sau shakl badal sakta hai
aisi shaklen ki miTao to miTae na bane
aaise shoale ki bujhao to bujhae na bane
aaise nare ki dabao to dabae na bane
Nazm
KHun phir KHun hai
Sahir Ludhianvi