chalo ek bar phir se ajnabi ban jaen hum donon
na main tum se koi ummid rakhun dil-nawazi ki
na tum meri taraf dekho ghalat-andaz nazron se
na mere dil ki dhaDkan laDkhaDae meri baaton se
na zahir ho tumhaari kashmakash ka raaz nazron se
tumhein bhi koi uljhan rokti hai pesh-qadmi se
mujhe bhi log kahte hain ki ye jalwe parae hain
mere hamrah bhi ruswaiyan hain mere mazi ki
tumhaare sath bhi guzri hui raaton ke sae hain
taaruf rog ho jae to us ka bhulna behtar
talluq bojh ban jae to us ko toDna achchha
wo afsana jise anjam tak lana na ho mumkin
use ek KHub-surat moD de kar chhoDna achchha
chalo ek bar phir se ajnabi ban jaen hum donon

Nazm
KHub-surat moD
Sahir Ludhianvi