ai dil-e-afsurda wo asrar-e-baatin kya hue
soz ki raaten kahan hain saz ke din kya hue
aansuon ki wo jhaDi wo gham ka saman kya hua
tera sawan ka mahina chashm-e-giryan kya hua
kya hui baala-e-sar wo lutf-e-yazdan ki ghaTa
aasman-e-dil pe wo ghanghor irfan ki ghaTa
ab wo nalon ki garaj hai ab na wo shor-e-fughan
ab na uThta hai kaleja se mohabbat ka dhuan
apne afal-e-siyah par ab pashemani nahin
ab pasine ke sitare zeb-e-peshani nahin
dard ki muddat se ab dil mein chamak hoti nahin
wo tapak chhaalon ki kaunde ki lapak hoti nahin
zikr-e-maula se labon par ab wo narmi hi nahin
bhap sine se uThe kya dil mein garmi hi nahin
ab sharare soz-e-gham ke dil mein rahte hi nahin
ashk ab pichhle pahar aankhon se bahte hi nahin
marifat dil mein na ab wo ruh mein ehsas hai
log kahte hain ki hai lekin hamein to yas hai
ab na wo aankhon mein ashk-e-KHun na wo dil mein gudaz
ab na wo sham-e-tamanna hai na wo subh-e-niyaz
KHushk hain aankhen jabinen tang sine sard hain
ab na wo dukhte hue dil hain na chehre zard hain
aah ki aur dil umanD aaya ye hota hi nahin
Dub kar zauq-e-fana mein koi rota hi nahin
phul daghon se khile the jis dil-e-sarshaar mein
KHak ab muddat se uDti hai usi gulzar mein
aansuon se nam jo rahta tha wo daman jal gaya
lahlahata tha jo sine mein gulistan jal gaya
ruh mein baalidgi ki quwwaten madum hain
donon aankhen aansuon ke faiz se mahrum hain
pech-o-KHam se bahne wala dil ka dariya KHushk hai
wo bhari barsat yani chashm-e-bina KHushk hai
KHun hai dil mein magar pahli si tughyani nahin
abr hai baad-e-muKHalif se magar pani nahin
jab ye aalam hai to barish ki shikayat kis liye
be-mahal ye hasrat-e-baran-e-rahmat kis liye
ek mujassam KHushk-sali KHud hamari zat hai
zid hamari hastiyon ki abr hai barsat hai
rahmaton se josh mein aane ki KHwahish kya karen
KHud sarapa qaht hain ummid-e-barish kya karen
Nazm
KHushk-sali
Josh Malihabadi