jis din mujhe maut aae
us din barish ki wo jhaDi lage
jise thamna na aata ho
log barish aur aansuon mein
tamiz na kar saken
jis din mujhe maut aae
itne phul zamin par khilen
ki kisi aur chiz par nazar na Thahr sake
charaghon ki lawen diye chhoD kar
mere sath sath chalen
baaten karti hui
muskuraati hui
jis din mujhe maut aae
us din sare ghonslon mein
sare parindon ke bachchon ke par nikal aaen
sari sargoshiyan jal-tarang lagen
aur sari siskiyan nuqrai zamzame ban jaen
jis din mujhe maut aae
maut meri ek shart man kar aae
pahle jite-ji mujh se mulaqat kare
mere ghar-angan mein mere sath khele
jine ka matlab jaane
phir apni man-mani kare
jis din mujhe maut aae
us din suraj ghurub hona bhul jae
ki raushni ko mere sath dafn nahin hona chahiye
Nazm
KHudaon se kah do
Kishwar Naheed