uf ye bedard siyahi ye hawa ke jhonke
kis ko malum hai is shab ki sahar ho ki na ho
ek nazar tere dariche ki taraf dekh to lun
Dubti aaankhon mein phir tab-e-nazar ho ki na ho
abhi raushan hain tere garm shabistan ke diye
nil-gun pardon se chhanti hain shuaen ab tak
ajnabi banhon ke halqe mein lachakti hongi
tere mahke hue baalon ki ridaen ab tak
sard hoti hui batti ke dhuen ke hamrah
hath phailae baDhe aate hain ojhal sae
kaun ponchhe meri aaankhon ke sulagte aansu
kaun uljhe hue baalon ki girah suljhae
aah ye ghaar-e-halakat ye diye ka mahbas
umar apni inhi tarik makanon mein kaTi
zindagi fitrat-e-be-his ki purani taqsir
ek haqiqat thi magar chand fasanon mein kaTi
kitni aasaishen hansti rahin aiwanon mein
kitne dar meri jawani pe sada band rahe
kitne hathon ne buna atlas-o-kamKHwab magar
mere malbus ki taqdir mein paiwand rahe
zulm sahte hue insanon ke is maqtal mein
koi farda ke tasawwur se kahan tak bahle
umar bhar rengte rahne ki saza hai jina
ek do din ki aziyyat ho to koi sah le
wahi zulmat hai fazaon pe abhi tak tari
jaane kab KHatm ho insan ke lahu ki taqtir
jaane kab nikhre siyah-posh faza ka jauban
jaane kab jage sitam-KHurda bashar ki taqdir
abhi raushan hain tere garm shabistan ke diye
aaj main maut ke ghaaron mein utar jaunga
aur dam toDti batti ke dhuen ke hamrah
sarhad-e-marg-e-musalsal se guzar jaunga
Nazm
KHud-kushi se pahle
Sahir Ludhianvi