KHizan mausam nahin hai
ek lamha hai ki jis ki aarzu mein
sabz patte
hawa ki aahaTon par kan dharte hain
guzarte waqt mein saat-ba-saat
nae pairahanon mein
gulabi aur gahre surKH unnabi
dahakte KHushnuma rangon se le kar zard hone tak
kabhi dhime kabhi unche suron mein baat karti
KHushbuon mein bas-basa kar
hawa ke sath mahw-e-raqs hona chahte hain
zamin ka rizq ban jaane se pahle
wahi ek ajnabi waraftagi aur raqs ka lamha
kahin par daur-e-ainda ke mausam ki samaat mein
kisi soe hue ek bij mein
KHwahish numu ki sar uThati hai
bahut hi pyar se har shaKH ke patte se kahti hai
ki ab rizq-e-zamin ban kar
kisi ek narm konpal ki numu ka aasra ban ja
KHizan mausam nahin hai
ek masarrat-KHez taKHliq-e-amal ka aasra hai
Nazm
KHizan mausam nahin hai
Pirzada Qasim