اردو हिंदी
KHak-e-hind | Shaahi Shayari
KHak-e-hind

Nazm

KHak-e-hind

Chakbast Brij Narayan

;

ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
dariya-e-faiz-e-qudarat tere liye rawan hai

tere jabin se nur-e-husn-e-azal ayan hai
allah-re zeb-o-zinat kya auj-e-izz-o-shan hai

har subh hai ye KHidmat KHurshid-e-pur-ziya ki
kirnon se gundhta hai choTi himaliya ki

is KHak-e-dil-nashin se chashme hue wo jari
chin o arab mein jin se hoti thi aabiyari

sare jahan pe jab tha wahshat ka abr tari
chashm-o-charagh-e-alam thi sar-zamin hamari

sham-e-adab na thi jab yunan ki anjuman mein
taban tha mahr-e-danish is wadi-e-kuhan mein

'gautum' ne aabru di is mabad-e-kuhan ko
'sarmad' ne is zamin par sadqe kiya watan ko

'akbar' ne jam-e-ulfat baKHsha is anjuman ko
sincha lahu se apne 'rana' ne is chaman ko

sab surbir apne is KHak mein nihan hain
TuTe hue khanDar hain ya un ki haDDiyan hain

diwar-o-dar se ab tak un ka asar ayan hai
apni ragon mein ab tak un ka lahu rawan hai

ab tak asar mein Dubi naqus ki fughan hai
firdaus-e-gosh ab tak kaifiyyat-e-azan hai

kashmir se ayan hai jannat ka rang ab tak
shaukat se bah raha hai dariya-e-gang ab tak

agli si tazgi hai phulon mein aur phalon mein
karte hain raqs ab tak taus jangalon mein

ab tak wahi kaDak hai bijli ki baadalon mein
pasti si aa gai hai par dil ke hauslon mein

gul sham-e-anjuman hai go anjuman wahi hai
hubb-e-watan wahi hai KHak-e-watan wahi hai

barson se ho raha hai barham saman hamara
duniya se miT raha hai nam-o-nishan hamara

kuchh kam nahin ajal se KHwab-e-giran hamara
ek lash-e-be-kafan hai hindostan hamara

ilm-o-kamal o iman barbaad ho rahe hain
aish-o-tarab ke bande ghaflat mein so rahe hain

ai sur-e-hubb-e-qaumi is KHwab se jaga de
bhula hua fasana kanon ko phir suna de

murda tabiaton ki afsurdagi miTa de
uThte hue sharare is rakh se dikha de

hubb-e-watan samae aankhon mein nur ho kar
sar mein KHumar ho kar dil mein surur ho kar

shaida-e-bostan ko sarw-o-saman mubarak
rangin tabiaton ko rang-e-suKHan mubarak

bulbul ko gul mubarak gul ko chaman mubarak
hum be-kason ko apna pyara watan mubarak

ghunche hamare dil ke is bagh mein khilenge
is KHak se uThe hain is KHak mein milenge

hai ju-e-shir hum ko nur-e-sahar watan ka
aankhon ki raushni hai jalwa is anjuman ka

hai rashk-e-mahr zarra is manzil-e-kuhan ka
tulta hai barg-e-gul se kanTa bhi is chaman ka

gard-o-ghubar yan ka KHilat hai apne tan ko
mar kar bhi chahte hain KHak-e-watan kafan ko