marx ke ilm o fatanat ka nahin koi jawab
kaun us ke dark se hota nahin hai faiz-yab
us ki danai ka hasil naKHun-e-uqda-kusha
tabnaki-e-zamir-o-ziraki ka aaftab
chahne walon ka us ki zikr hi kya kijiye
us ke dushman bhi sirhane rakhte hain us ki kitab
maddi tariKH-e-alam jis ki talif-e-azim
tas kaipiTal hai ya zist ka lubb-e-lubab
paDh ke jis ke ho gain hushyar aqwam-e-ghulam
ishtiraki falsafa ka khul gaya har dil mein bab
kitne dozaKH us ke ek manshur se jannat bane
kitne sahraon ko jis ne kar diya shahr-e-gulab
marx ne science o insan ko kiya hai ham-kanar
zehn ko baKHsha shuur-e-zindagani ka nisab
us ki binish us ki wajdani-nigah-e-haq-shanas
kar gai jo chehra-e-iflas-e-zar ko be-naqab
'ghasab-e-ujrat' ko diya 'sarmaya' ka jis ne laqab
be-hisab us ki basirat us ki mantiq la-jawab
aaftab taza ki us ne bashaarat di hamein
us ki har peshan-goi hai barafganda naqab
koi quwwat us ki sadd-e-rah ban sakti nahin
waqt ka farman jab aata hai ban kar inqilab
ahl-e-danish ka rajaz aur sina-e-dahqan ki Dhaal
lashkar mazdur ke hain ham-safir o ham-rikab
kaTti hai sehr-e-sultani ko jab musa ki zarb
satwat-e-firaun ho jati hai az KHud gharq-e-ab
aaj ki firauniyat bhi kuchh isi andaz se
rafta rafta hoti jaegi shikar-e-inqilab
laD raha hai jang aaKHir kisa-e-sarmaya-dar
jauhri hathiyar se karta nahin jo ijtinab
apne mustaqbil se taghuti tamaddun ko hai yas
didani hai dushman-e-insaniyat ka iztirab
hazrat-e-iqbaal ka iblis-e-kochak KHauf se
larza-bar-andam yun shaitan se karta hai KHitab
panDit o mulla o rahib be-zarar Thahre magar
TuTne wala hai tujh par ek yahudi ka itab
wo kalim-e-be-tajalli wo masih-e-be-salib
nist paighambar o lekin dar baghal darad kitab
Nazm
Karl marx
Wamiq Jaunpuri