roz jab subh ko
apne ghar se nikalta hun main
raste mein koi dost mil jae
ya jaan-pahchan wala
main baDi garm-joshi se us ki taraf
baDh ke jata hun
aadab karta hun
aur muskuraata bhi hun
(jaise main aaj ke din
aur ghar pe sab KHairiyat hai)
mujh ko har har qadam par
kai tarah ke log milte hain
jo unchi dukanon pe baiThe hue hain
kai aise afrad
main jaanta hun wo kitne ghabi hain
magar kursiyon par DaTe hain
unhen log
jhuk jhuk ke taslim karte hain
(wo log
jo un se behtar hain
tahzib-o-shaistagi mein
danish-o-agahi mein
magar is ko kya kije
un ki qismat mein
wo KHas kursi nahin hai
ki jis par koi masKHara baiTh jae
to us ko koi masKHara kah na pae
main ye mahsus karta hun
KHud mere andar
koi baiTha hua
kah raha hai:
ji mein aati hai
in masKHaron par hansun
khokhle aadmi jo bhi hain
un se kah dun
ki tum khokhle ho
apni kursi pe baiTha hua
koi ahmaq
unT ki tarah se bilbilae
to kah dun
ki kya bak rahe ho?
Nazm
Karb
Khalilur Rahman Azmi