main aspatal ke bistar pe tum se itni dur
ye sochta hun ki aisi ajib duniya mein
na jaane aaj ke din kya nahin hua hoga
kisi ne baDh ke sitare qafas kiye honge
kisi ke hat mein mahtab aa gaya hoga
jalai hongi kisi ke nafas ne qindilen
kisi ki bazm mein KHurshid nachta hoga
kisi ko zehn ka chhoTa sa taziyana bahut
kisi ko dil ki kashakash ka hausla hoga
na jaane kitne irade ubhar rahe honge
na jaane kitne KHayalon ka dil baDha hoga
tumhaari phul si fitrat ki sath-e-narm se dur
pahaD honge samundar ka rasta hoga
ye ek farz ka mahaul farz ka sangit
ye aspatal ke aansu ye aspatal ki rit
mere qarib bahut se mariz aur bhi hain
pukarti hui aankhen karahte hue dil
bahut aziz hai in sab ko zindagi apni
ye apni zist ka ehsas kaisi neamat hai
magar mujhe yahi uljhan ki zindagi ki ye bhik
jo mil gai bhi to kitni zara si baat mili
kisi ke hat mein mahtab aa gaya bhi to kya
kisi ke qadmon mein suraj ka sar jhuka bhi to kya
hua hi kya jo ye chhoTi si kaenat mili?
mere wajud ki gahri KHamosh virani
tumhein yahan ke andhere ka ilm kya hoga
tumhein to sirf muqaddar se chand raat mili
Nazm
Karahte hue dil
Mustafa Zaidi