rahat-e-banda-e-be-dam kahan hai aa ja
paikar-e-husn sar-e-baam kahan hai aa ja
raunaq-e-bazm hai o jam kahan hai aa ja
zinat-e-jalwa-gah-e-am kahan hai aa ja
ai umid-e-dil-e-na-kaam kahan hai aa ja
teri furqat KHalal-andaz-e-sukun-e-paiham
teri furqat dil-e-mayus pe ek turfa sitam
teri furqat sabab-e-kawish-o-bedari-e-gham
tu nahin hai to phir aaram kahan hai aa ja
shahid-e-aur-e-siyah-baKHt o shab-e-tar hun main
KHugar-e-nala-e-lazzat-kash-e-awaz hun main
dam-e-tufan-e-hawadis mein giraftar hun main
roz-o-shab muntazir-e-did-e-ruKH-e-yar hun main
dil hai waqf-e-gham-e-alam kahan hai aa ja
shoala-e-bar-kaf-e-gul dagh-e-jigar tere baghair
KHar-bardosh hai daman-e-nazar tere baghair
KHun-fishan hai shab-e-gham dida-e-tar tere baghair
chalan aata hi nahin sham-o-sahar tere baghair
muntazir hun sahar-o-sham kahan hai aa ja
daur-e-tariki-e-gham se shab-e-tanhai se
dam-ba-dam josh-e-junun ki sitam-arai se
kaba-o-dair-o-kalisa ki jabin-sai se
KHauf-e-majburi-o-nakaami-o-ruswai se
ishq hai larza-bar-andam kahan hai aa ja
muntashir hone lagi anjuman-e-naz-e-hayat
ban gaya KHwab har ek manzar-e-aghaz-e-hayat
dam-shikasta sa nazar aane laga saz-e-hayat
ab koi dam mein hua jata hai wa raaz-e-hayat
aa gaya naza ka hangam kahan hai aa ja
Nazm
Kahan hai aa ja
Shakeel Badayuni