ek din apne kamre mein main
baiTha baiTha soch raha tha
jitni hain be-kar ki chizen
sab ko aaj main yakja kar lun
aur kabaDi ko de aaun
ghar mein ek kamra hai jahan par
bahut si chizen paDin hui hain
jis mein
mere kaam ka kuchh bhi nahin hai
ek laThi hai ek baTwa hai
katthe chune ki Dibiya hai
kahin sarauta paDa hua hai
Tangi hai kone mein ek chhatri kali kali
jis ko chuhon ne qatra hai jagah jagah se
ek lakDi ki kursi bhi hai
buDhi si aur langDi-luli
is kamre ke ek kone mein
ek chaupai paDi hui hai
apni qismat ko roti hai
bilkul us ke bazu mein hi
buDha sa ek taKHt rakha hai
kiDe jis ko chaT rahen hain
taKHt ke aage bilkul aage
chite ki ek khaal paDi hai
bhunsa bhar ke rakha hua tha jis ke andar
ab to wo chuhon ka ek mohalla hai
kuchh hirno ke sar bhi hain diwar pe laTke ab tak
jin ke upar ab chiDiyon ne apne apne taj-mahal tamir kiye hai
kuchh talwaren KHun ki pyasi pyas bujhane taDap rahin hain
ek tote ka pinjra bhi hai
ek surahi rakkhi hui hai
ek bimar sa huqqa bhi hai
khansta rahta hai jo ab
shayad cancer ne us ko bhi jakDa hai
ek lakDi ki almari bhi kone mein KHamosh khaDi hai
jis mein kuchh bosida kapDe rakkhe hue hain
ek sanduq hai jis ke andar kuchh zewar hain
jinki qimat ab bazar mein kuchh bhi nahin
kuchh german aur kanse pital ke bartan bhi rakkhe hain
ek tijori bhi rakkhi hai
jis ko dekh ke ab tak sari chizen jalti hain
ek na-bina chashma bhi hai
ek pagDi bhi rakkhi hui hai
kuchh jute chappal bhi hain jo
aundhe chitte leTe hain
TuTe-phuTe se ek do hath ke pankhe bhi hain
aur ek taq mein chand kitaben
bhuki pyasi chikh rahin hain
ek kone mein kuchh taswiren paDi hui hain
mere purkhon ki taswiren
jin ke upar dhul jami hai
purkhon ki ye shan-o-shaukat
ek kamre mein band paDi hai
Nazm
Kabaad-KHana
Mohsin Aftab Kelapuri