tajraba-kar zehn to sab samajh jata hai
zehn mein sochon ko band kar ke
tala Dal dun
chaalak aankhen to sab kuchh taD leti hain
in par la-ilmi ke shishe chaDha dun
apne hassas dil ko
zara KHatir mein na laun
mazi ka tamam mushahida aur tajraba
jo darj hai zehn par
use miTa Dalun
meri aql mere liye azab ban gai hai
kash samajhdar na banun
siski aur qahqaha
main apne panw tale se jannat nikal kar
baDi KHushi se tumhein saunpne ke liye tayyar hun
main apne panw mein bandhi grihasti ki beDiyon ko
bas thoDa sa Dhila kar rahi hun
ziyaada dur nahin jaungi
ek qahqaha laga kar ek siski bhar kar
ya ek nazm likh kar lauT aaungi
main aazad aurat hun lekin
agar mere bachchon ke baalon mein likhen paD jaen
un ki gardan par pasina mili miTTi nazar aae
mere khanon mein masalahon ki tartib gaDbaD ho jae
bachchon ke home-work ki copy par
not-done likha hua aa jae
ghar aae mehmanon ko KHush-amdid kahte hue
ek cup chae bhi na pila sakun
office se lauTte hue thake hue shauhar se
haal-ahwal bhi na puchhun
to meri sansen ghuTTi hui
aur qahqaha phaTi phaTi aankhen
aur nazm adhura KHwab lagti hai
KHuda ne nubuwwat ata karte hue imam banate hue
puri qalandari ata karte hue
mujh par e'tibar nahin kiya tha
puri qaum ko aala nasl dene ki zimmedari
faqat meri hai
is aaali mansab par kaam karte karte
main thak bhi to sakti hun
meri ittifaqi ruKHsat manzur ho chuki hai
main ja rahi hun ek siski bharne ek qahqaha lagane
aur ek nazm likhne ke liye
chhuTTi aKHlaqi taur par manzur hone ke bawajud
ghar ki har chiz ko mujh se shikayat
kyun hai
bachchon ke chehre par ghussa dekh kar sochti hun
qahqaha ayyashi aur siski ya aas hai
aur nazm panw mein chubha hua kanch ka TukDa hai
meri man kahti hai
tum mujh se achchhi man nahin ho
tum ajab ho ghar shauhar aur bachchon ke alawa
aur bhi kuchh chahti ho
meri beTi mere hath se qalam chhin kar
kahti hai french-fry bana kar do
main sochti hun
meri beTi ko bhi jab
ek qahqahe nazm ya taswir ke liye
apni zindagi ki tijori se
kuchh pal darkar honge
to main use kya mashwara dungi
qahqaha bachpan ki bichhDi hui sakhi
siski hathon se uDta hua panchhi
aur nazm gunah hai
Nazm
Kash samajhdar na banun
Ateeya Daud