kal washington shahr ki hum ne sair bahut ki yar
gunj rahi thi sab duniya mein jis ki jai-jai-kar
mulkon mulkon hum ghume the banjaron ki misl
lekin is ki saj-dhaj sach-much dil-daron ki misl
raushniyon ke rang bahen yun rasta nazar na aae
man ki aankhon wala bhi yan andha ho ho jae
unche baam charaghan raste rup-bhare bazar
jagti aankhon se dekha hai KHwabon ka sansar
ek safed imarat jis ki nagar nagar mein dhum
andar duniya bhar ki kalak bahar se masum
yahi safed imarat jis mein bahut baDi sarkar
yahin karen saudagar chhoTi qaumon ka bewpar
yahin pe jadu-gar baiTha jab kahin ki Dor hilae
har basti nagasaki hiroshima ban jae
isi imarat se kuchh dur hi ek kali diwar
logon ka mela aisa laga tha jaise koi tyauhaar
is kali diwar pe kanda dekhe hazaron nam
un namon ke bich likha tha shohda-e-wietnam
aas-pas to jama hua tha KHilqat ka amboh
sab ki aankhon mein sannaTa chehron par andoh
bekal bahnen ghayal maen aur dukhi bewayen
sajan tum kis des sidhaare sochen mahbubaen
apne pyaron dil-daron ka ojhal mukhDa DhunDen
is kali diwar pe un ke nam ka TukDa DhunDen
dilon mein dukh aankhon mein shabnam hathon mein phul uThae
is namon ke qabristan ka bhed koi kya pae
na turbat na katba koi na haDDi na mas
phir bhi pagal nainan ko thi piya milan ki aas
kahin kahin is kali sil par koi safed gulab
yun be-tab paDa tha jaise andhi aankh ka KHwab
kanTa ban kar sabhi ke dil mein khaTke ek sawal
kis karan miTTi mein milae hiron jaise lal
Ho-chi-minh ke des mein hum ne kya kya sitam na Dhae
us ke jiyale to aazadi ka suraj le aae
lekin itne chand ganwa kar hum ne bhala kya paya
hum bad-qismat aise jin ko dhup mili na saya
mukh moti de kar hasil ki ye kali diwar
ye kali diwar jo hai bas ek KHali diwar
ye kali diwar jo hai namon ka qabristan
washington ke shahr mein dafn hain kis kis ke arman
Nazm
Kali diwar
Ahmad Faraz