jibrail
hamdam-e-dairina kaisa hai jahan-e-rang-o-bu
iblis
soz-o-saz o dard o dagh o justuju o aarzu
jibrail
har ghaDi aflak par rahti hai teri guftugu
kya nahin mumkin ki tera chaak daman ho rafu
iblis
aah ai jibril tu waqif nahin is raaz se
kar gaya sarmast mujh ko TuT kar mera subu
ab yahan meri guzar mumkin nahin mumkin nahin
kis qadar KHamosh hai ye aalam-e-be-KaKH-o-ku
jis ki naumidi se ho soz-e-darun-e-kaenat
us ke haq mein taqnatu achchha hai ya la-taqnatu
jibrail
kho diye inkar se tu ne maqamat-e-buland
chashm-e-yazdan mein farishton ki rahi kya aabru
iblis
hai meri jurat se musht-e-KHak mein zauq-e-numu
mere fitne jama-e-aql-o-KHirad ka tar-o-pu
dekhta hai tu faqat sahil se razm-e-KHair-o-shar
kaun tufan ke tamanche kha raha hai main ki tu
KHizr bhi be-dast-o-pa ilyas bhi be-dast-o-pa
mere tufan yam-ba-yam dariya-ba-dariya ju-ba-ju
gar kabhi KHalwat mayassar ho to puchh allah se
qissa-e-adam ko rangin kar gaya kis ka lahu
main khaTakta hun dil-e-yazdan mein kanTe ki tarah
tu faqat allah-hu allah-hu allah-hu
Nazm
Jibrail o iblis
Allama Iqbal