ikkis baras guzre aazadi-e-kaamil ko
tab ja ke kahin hum ko 'ghaalib' ka KHayal aaya
turbat hai kahan us ki maskan tha kahan us ka
ab apne suKHan-parwar zehnon mein sawal aaya
sau sal se jo turbat chadar ko tarasti thi
ab us pe aqidat ke phulon ki numaish hai
urdu ke talluq se kuchh bhed nahin khulta
ye jashn ye hangama KHidmat hai ki sazish hai
jin shahron mein gunji thi ghaalib ki nawa barson
un shahron mein ab urdu benam-o-nishan Thahri
aazadi-e-kaamil ka elan hua jis din
matub zaban Thahri ghaddar zaban Thahri
jis ahd-e-siyasat ne ye zinda zaban kuchli
us ahd-e-siyasat ko marhum ka gham kyun hai
'ghaalib' jise kahte hain urdu hi ka shair tha
urdu pe sitam Dha kar 'ghaalib' pe karam kyun hai
ye jashn ye hangame dilchasp khilaune hain
kuchh logon ki koshish hai kuchh log bahal jaen
jo wada-e-farda par ab Tal nahin sakte hain
mumkin hai ki kuchh arsa is jashn pe Tal jaen
ye jashn mubarak ho par ye bhi sadaqat hai
hum log haqiqat ke ehsas se aari hain
'gandhi' ho ki 'ghaalib' ho insaf ki nazron mein
hum donon ke qatil hain donon ke pujari hain
Nazm
Jashn-e-ghaalib
Sahir Ludhianvi