barq-raftari pe apni rashk karta tha jahan
su-e-azadi hamara qafila tha tez-gam
sikhna hai lekin ab mai-KHana-e-tamir mein
jumbish-e-nabz-e-tamanna o KHiram-e-daur-e-jam
manzil-e-maqsud tak ye qaum ja sakti nahin
jis ke qabze mein nahin asp-e-siyasat ki lagam
hum ko bachna chahiye har us bure iqdam se
jis se ho matun duniya mein watan ka nek nam
ittihad o aashti har dam rahen pesh-e-nazar
ja-guzin dil mein rahe zauq-e-amal bil-iltizam
daur-e-azadi ka gauhar aish hai aish-e-halal
dil ye kahta hai ki yun paband hona hai haram
dil ki talqinat par pahle amal farmaiye
shauq se phir jashn-e-azadi manate jaiye
aish ke saman bhi hon aur farz ka ehsas bhi
jashn bhi ho gham-zadon ki naz-bardari bhi ho
daKHil-e-adab-e-mai-noshi ho saqi ka adab
mastiyan hon mastiyon ke sath hushyari bhi ho
kuchh piyen aur kuchh bachaen tishna-kaamon ke liye
sadgi ka naz bhi andaz-e-purkari bhi ho
haal ki KHatir KHirad-koshi hai mustahsan magar
bahr-e-mustaqbil junun-e-zauq-e-bedari bhi ho
narm-raftari ho waqt-e-sair-e-gulzar-e-tarab
rah-e-pur-KHar-e-amal mein garm-raftari bhi ho
is KHushi ke waqt kitne dil hain gham se paemal
lutf aa jae agar in sab ki gham-KHwari bhi ho
rone walon ki hansi ko pahle wapas laiye
shauq se phir jashn-e-azadi manate jaiye
Nazm
Jashn-e-azadi
Arsh Malsiyani