shahr ke aare chalate be-sure bad-rang shor-o-ghul se dur
pak rangon ka sanam aabaad
pak aawazon ka ek ghandhar o lok
shahr walon mein hai jangal jis ka nam
subh jis ki ek arzhang aur albam jis ki sham
wo lachakti fasl ke pahlu mein kuhni mar kar kalkariyan bharti hua
jhanjhana uThte hain moTe chamchamate tar
tape par jati hai bal khati hui aawaz
chhiD gai ho dur jaise jal-tarang
dauDti hai sansani aisi umang
jaise pani mein hazaron machhliyan ek sath kuden aur chadar chir jaen
jaise pakke kaam wali saDiyan lahraen sar-sar sarsaraen
kan-kanaen jaise hanson ke hujum
gungunaen sarmadi naghme nujum
wo sunahri choliyon mein kasmsate gol ubhre sanwle Tile
gol ubhre sanwle Tile sunahri tang raushan choliyan
kasmasate gol ubhre sanwle gadrae bhaari saKHt Tile
wo sunahre-pan ko yan wan phaD kar KHud phaT paDa hai shyam rang
bar se hai chaak choli jhankta hai sanwli dharti ka rang
(yaad aata hai yahan tashbih ka samraT kali-das)
wo khajuron ke daraKHton ki qatar-andar-qatar
ek dam sidhi khaDi sambandh rekhaen zamin o aasman ke darmiyan
aasmani shamiyana in sutunon ke siron ko chhoD kar
be-sutun gumbad sa KHud laTka hua
aam ki Dalon pe chikne sabz patte
sabz patton par laTakti kairiyan
sabz nannhi kairiyan
rang, ras aur swad ke KHwabon ki tabir ke ankhue khil gae
sabz pila sabz bhura sabz kala sabz zarrin sabz nila
sabz sabz sabz sabz
sabz ghaalib rang kitni joDiyon ke sath hai phaila hua
sabz ghaalib rang baqi rang goya us ke shade
ras-manDal mein kanhiya sabz, baqi rang us ki gopiyan
tez be-had tez be-dam hanpti mauj-e-hawa ki lai
tez be-had tez lekin naghma-rez
jhumta gata thirakta nachta mahaul
ek lai mein raqs karte hain faza dehat jangal khet
raqs mein hai mauj-e-rang
mauj mein aawaz
aur phir aawaz mein KHushbu ka raqs
sab ke sab hain ek lai ke daere mein ham-nawa ham-raqs baham ek
dur tak phailao, aazadi, mohabbat, aur chanchal shanti
ek jiti-jagti tabinda zinda shanti
phulte-phalte sanwarte kar guzarne ka khula imkan
shahr walon mein hai jangal jis ka nam
Nazm
Jangal
Ameeq Hanafi