اردو हिंदी
Jang | Shaahi Shayari
jang

Nazm

Jang

Makhdoom Mohiuddin

;

nikle dahan-e-top se barbaadiyon ke rag
bagh-e-jahan mein phail gai dozaKHon ki aag

kyun TimTima rahi hai ye phir sham-e-zindagi
phir kyun nigar-e-haq pe hain aasar-e-beogi

ifrit-e-sim-o-zar ke kaleje mein kyun hai phans
kyun ruk rahi hai sine mein tahzib-e-nau ki sans

amn-o-aman ki nabz chhuTTi ja rahi hai kyun?
baalin-e-zist aaj ajal ga rahi hai kyun?

ab dilhanon se chhin liya jaega suhag
ab apne aansuon se bujhaen wo dil ki aag

barbat-nawaz bazm-e-ulu idhar to aa
dawat-dah-e-payam-e-ubudi idhar to aa

insaniyat ke KHun ki arzaniyan to dekh
is ki aasman wale ki be-dadiyan to dekh

masuma-e-hayat ki bechaargi to dekh
dast hawas se husn ki ghaarat-gari to dekh

KHud apni zindagi pe pashiman hai zindagi
qurban-gah-e-maut pe raqsan hai zindagi

insan rah sake koi aisa jahan bhi hai
is fitna-za zamin ka koi pasban bhi hai

o aaftab-e-rahmat-e-dauran tulu ho
o anjum-e-hamiyat-e-yazdan tulu ho