Jahan sultana paDhti thi | Shaahi Shayari
jahan sultana paDhti thi

Nazm

Jahan sultana paDhti thi

Sarfaraz Shahid

;

wo is college ki shahzadi thi aur shahana paDhti thi
wo be-bakana aati thi wo be-bakana paDhti thi

baDe mushkil sabaq the jin ko wo rozana paDhti thi
wo laDki thi magar mazmun sab mardana paDhti thi

yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi
classon mein hamesha der se wo aaya karti thi

kitabon ke tale filmi risale laya karti thi
wo jab dauran-e-lecture bor si ho jaya karti thi

to chupke se koi taza-tarin afsana paDhti thi
yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi

kitaben dekh kar kuDhti thi mahw-e-yas hoti thi
ba-qaul us ke kitabon mein niri bakwas hoti thi

tajjub hai ki wo har sal kaise pas hoti thi
jo illam ilm ko maulana ko malwana paDhti thi

yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi
baDi mashhur thi college mein charcha aam tha us ka

jawanon ke dilon se khelna bas kaam tha us ka
yahan college mein paDhna to barae-nam tha us ka

ki wo aazad laDki thi wo aazadana paDhti thi
yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi

ajab andaz ke ushshaq the us hir ke mame
khaDe rahte the phaTak par kai majhe kai game

jo us ke nam par karte the jhagDe aur hangame
wo us tufan mein rahti thi tufanana paDhti thi

yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi
wo sultana magar pahli si sultana nahin yaro

suna hai koi bhi ab us ka diwana nahin yaro
koi is shama-e-KHakistar ka parwana nahin yaro

KHud afsana bani baiThi hai jo afsana paDhti thi
yahi college hai wo hamdam jahan sultana paDhti thi