اردو हिंदी
Jagir | Shaahi Shayari
jagir

Nazm

Jagir

Sahir Ludhianvi

;

phir usi wadi-e-shadab mein lauT aaya hun
jis mein pinhan mere KHwabon ki tarab-gahen hain

mere ahbab ke saman-e-tayyush ke liye
shoKH sine hain jawan jism hasin banhen hain

sabz kheton mein ye dubki hui doshizaen
in ki shiryanon mein kis kis ka lahu jari hai

kis mein jurat hai ki is raaz ki tashhir kare
sab ke lab par meri haibat ka fusun tari hai

hae wo garm o dil-awez ubalte sine
jin se hum satwat-e-aba ka sila lete hain

jaane un marmarin jismon ko ye mariyal dahqan
kaise in tera gharondon mein janam dete hain

ye lahakte hue paude ye damakte hue khet
pahle ajdad ki jagir the ab mere hain

ye chara-gah ye rewaD ye maweshi ye kisan
sab ke sab mere hain sab mere hain sab mere hain

in ki mehnat bhi meri hasil-e-mehnat bhi mera
in ke bazu bhi mere quwwat-e-bazu bhi meri

main KHudawand hun us wusat-e-be-payan ka
mauj-e-ariz bhi meri nikhat-e-gesu bhi meri

main un ajdad ka beTa hun jinhon ne paiham
ajnabi qaum ke sae ki himayat ki hai

uzr ki saat-e-napak se le kar ab tak
har kaDe waqt mein sarkar ki KHidmat ki hai

KHak par rengne wale ye fasurda Dhanche
in ki nazren kabhi talwar bani hain na banin

in ki ghairat pe har ek hath jhapaT sakta hai
in ke abru ki kamanen na tani hain na tanin

hae ye sham ye jharne ye shafaq ki lali
main in aasuda fazaon mein zara jhum na lun

wo dabe panw idhar kaun chali jati hai
baDh ke us shoKH ke tarshe hue lab chum na lun