main ki mai-KHana-e-ulfat ka purana mai-KHwar
mahfil-e-husn ka ek mutrib-e-shirin-guftar
mah-paron ka hadaf zohra-jabinon ka shikar
naghma-paira o nawasanj o ghazal-KHwan hun main
kitne dil-kash mere but-KHan-e-iman ke sanam
wo kalisaon ke aahu wo gazalan-e-haram
main hama-shauq-o-mohabbat wo hama-lutf-o-karam
markaz-e-marhamat-e-mahfil-e-KHuban hun main
maujzan hai mai-e-ishrat mere paimanon mein
yas ka dard hai kam-tar mere afsanon mein
kaamrani hai par-afshan mere rumanon mein
yas ki sai-e-junun-KHez pe KHandan hun main
mere afkar mein mahtab ki talat ghaltan
meri guftar mein hai subh ki nuzhat ghaltan
mere ashaar mein hai phulon ki nikhat ghaltan
ruh-e-gulzar hun main jaan-e-gulistan hun main
lakh majbur hun main zauq-e-KHud-arai se
dil hai bezar ab is ishrat-e-tanhai se
aankh majbur nahin hai meri binai se
mahram-e-dard-o-gham-e-alam-e-insan hun main
kyun na chahun ki har ek hath mein paimana ho
yas o mahrumi o majburi ek afsana ho
aam ab faiz-e-mai-o-saqi-o-mai-KHana ho
rind hun aur jigar-gosha-e-rindan hun main
ab ye arman ki badal jae jahan ka dastur
ek ek aankh mein ho aish o faraghat ka surur
ek ek jism pe ho atlas o kam-KHwab o samor
ab ye baat aur hai KHud chaak-gareban hun main
Nazm
Ishrat-e-tanhai
Asrar-ul-Haq Majaz