santan hanse to kaise hanse
is waqt hai mata KHatre mein
sansar ke parbat ka raja
hai apna himala KHatre mein
hai samna kitne KHatron ka
hai desh ki sima KHatre mein
ai dost watan se ghat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
mehndi hui pili kitnon ki
sindur luTe hain kitnon ke
hain chuDiyan ThanDi kitnon ki
arman jale hain kitnon ke
is chin ke zalim hathon se
sansar phunke hain kitnon ke
muskan ki tu barsat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
mat kaT kapaT kar mata se
dena hai jo kuchh iman se de
ye parashn watan ki laj ka hai
ji khol ke de ji jaan se de
gauraw ki hifazat kar apne
de dhan bhi to pyare aan se de
tu dan na de KHairaat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
jis ghar mein barasta tha jiwan
chhai hai wahan par virani
bewa huin kitni sundariyan
mare gae kitne senani
kyun josh nahin aata tujh ko
hai KHun ragon mein ya pani
aazadi ke din ko raat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
sunte hain musibat aaegi
aaegi to dekha jaega
jis ne hamein kayer samjha hai
us desh se samjha jaega
har shoKH ada se khel chuke
ab KHun se khela jaega
aise mein hamein be-hat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
ab band pe gaya jaega
ye saz na chheDe jaenge
le rakh de Thikane se ye ghazal
marne se bache to gaenge
hai sath hamare sachchai
hum pa ke wijay muskaenge
jiti hui bazi mat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
Nazm
Is waqt ghazal ki baat na kar
Nazeer Banarasi