ek bar phir watan mein gaya ja ke aa gaya
laKHt-e-jigar ko KHak mein dafna ke aa gaya
har ham-safar pe KHizr ka dhoka hua mujhe
aab-e-baqa ki rah se katra ke aa gaya
hur-e-lahad ne chhin liya tujh ko aur main
apna sa munh liye hue sharma ke aa gaya
dil le gaya mujhe teri turbat pe bar bar
aawaz de ke baiTh ke ukta ke aa gaya
roya ki tha jahez tera wajib-ul-ada
meinh motiyon ka qabr pe barsa ke aa gaya
meri bisat kya thi huzur-e-raza-e-dost
tinka sa ek samne dariya ke aa gaya
ab ke bhi ras aai na hubb-e-watan 'hafiz'
ab ke bhi ek tir-e-qaza kha ke aa gaya
Nazm
Irshad ki yaad mein
Hafeez Jalandhari