lahad mein so rahi hai aaj be-shak musht-e-KHak us ki
magar garm-e-amal hai jagti hai jaan-e-pak us ki
wo ek fani bashar tha main ye bawar kar nahin sakta
bashar iqbaal ho jae to hargiz mar nahin sakta
ba-zer-e-saya-e-diwar-e-masjid hai jo aasuda
ye KHaki jism hai sattar baras ka rah paimuda
ye KHaki jism bhi us ka bahut hi besh-qimat tha
jise ham-jalwa samjhe the wo parda bhi ghanimat tha
use hum napte the le ke aankhon hi ka paimana
ghazal-KHwan us ko jaana hum ne shair us ko gardana
faqat surat hi dekhi us ke mani hum nahin samjhe
na dekha rang-e-taswir aaine ko dil-nashin samjhe
hamein zof-e-basarat se kahan thi tab-e-nazzara
sikhae us ke parde ne hamein aadab-e-nazzara
ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saz kam samjhe
rahe sab gosh-bar-awaz lekin raaz kam samjhe
shikast-e-paikar-e-mahsus ne toDa hijab aaKHir
tulu-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aaftab aaKHir
muqayyad ab nahin 'iqbaal' apne jism-e-fani mein
nahin wo band hail aaj dariya ki rawani mein
wajud-e-marg ki qael nahin thi zindagi us ki
taala allah ab dekhe koi paindagi us ki
jise hum murda samjhe zinda tar painda tar nikla
mah o KHurshid se zarre ka dil tabinda tar nikla
abhi andaza ho sakta nahin us ki bulandi ka
abhi duniya ki aankhon par hai parda firqa-bandi ka
magar meri nigahon mein hain chehre un jawanon ke
jinhen 'iqbaal' ne baKHshe hain bazu qahar-manon ke
Nazm
Iqbaal ke mazar par
Hafeez Jalandhari