muddaten bit gain
tum nahin aain ab tak
roz suraj ke bayaban mein
bhaTakti hai hayat
chand ke ghaar mein
thak-haar ke so jati hai raat
phul kuchh der mahakta hai
bikhar jata hai
har nasha
lahr banane mein utar jata hai
waqt!
be-chehra hawaon sa guzar jata hai
kisi aawaz ke sabze mein lahak jaisi tum
kisi KHamosh tabassum mein chamak jaisi tum
kisi chehre mein mahakti hui aankhon jaisi
kahin abru kahin gesu kahin banhon jaisi
chand se
phul talak
yun to tumhin tum ho magar
tum koi chehra koi jism koi nam nahin
tum jahan bhi ho
adhuri ho haqiqat ki tarah
tum koi KHwab nahin ho
jo mukammal hogi
Nazm
Intizar
Nida Fazli