aaj ke nam
aur
aaj ke gham ke nam
aaj ka gham ki hai zindagi ke bhare gulsitan se KHafa
zard patton ka ban
zard patton ka ban jo mera des hai
dard ki anjuman jo mera des hai
clerkon ki afsurda jaanon ke nam
kirm-KHurda dilon aur zabanon ke nam
post-manon ke nam
tange walon ka nam
rail-banon ke nam
kar-KHanon ke bhuke jiyalon ke nam
baadshah-e-jahan wali-e-ma-siwa, naeb-ul-allah fil-arz
dahqan ke nam
jis ke Dhoron ko zalim hanka le gae
jis ki beTi ko Daku uTha le gae
hath bhar khet se ek angusht paTwar ne kaT li hai
dusri maliye ke bahane se sarkar ne kaT li hai
jis ki pag zor walon ke panw-tale
dhajjiyan ho gai hai
un dukhi maon ke nam
raat mein jin ke bachche bilakte hain aur
nind ki mar khae hue bazuon mein sambhalte nahin
dukh batate nahin
minnaton zariyon se bahalte nahin
un hasinaon ke nam
jin ki aankhon ke gul
chilmanon aur darichon ki belon pe be-kar khil khil ke
murjha gae hain
un biyahtaon ke nam
jin ke badan
be mohabbat riya-kar sejon pe saj saj ke ukta gae hain
bewaon ke nam
kaTDiyon aur galiyon mohallon ke nam
jin ki napak KHashak se chand raaton
ko aa aa ke karta hai aksar wazu
jin ke sayon mein karti hai aah-o-buka
aanchalon ki hina
chuDiyon ki khanak
kakulon ki mahak
aarzu-mand sinon ki apne pasine mein julne ki bu
paDhne walon ke nam
wo jo ashab-e-tabal-o-alam
ke daron par kitab aur qalam
ka taqaza liye hath phailae
wo masum jo bhole-pan mein
wahan apne nanhe charaghon mein lau ki lagan
le ke pahunche jahan
baT rahe the ghaTa-Top be-ant raaton ke sae
un asiron ke nam
jin ke sinon mein farda ke shab-tab gauhar
jel-KHanon ki shorida raaton ki sarsar mein
jal jal ke anjum-numa hogae hain
aane wale dinon ke safiron ke nam
wo jo KHushbu-e-gul ki tarah
apne paigham par KHud fida hogae hain
Nazm
Intisab
Faiz Ahmad Faiz