pindar ke KHugar ko
nakaam bhi dekhoge
aaghaz se waqif ho
anjam bhi dekhoge
rangini-e-duniya se
mayus sa ho jaana
dukhta hua dil le kar
tanhai mein kho jaana
tarsi hui nazron ko
hasrat se jhuka lena
fariyaad ke TukDon ko
aahon mein chhupa lena
raaton ki KHamoshi mein
chhup kar kabhi ro lena
majbur jawani ke
malbus ko dho lena
jazbaat ki wusat ko
sajdon se basa lena
bhuli hui yaadon ko
sine se laga lena
Nazm
Inteha-e-kar
Faiz Ahmad Faiz