gila hai kam-nigahi ko mein kaamgar nahin 
hanuz nudrat-e-kirdar aashkar nahin 
mera wo soz hai na-mahramon mein be-tabir 
mah-o-sitara ko jis ke liye qarar nahin 
mera sukut jawab aaina hai un ke liye 
wo jin ki rae mein diwana honhaar nahin 
nahin hai koi daraKHshanda barq jis ki misal 
mushabah jis ke koi guhar-e-abdar nahin 
saza-e-KHwesh hai KHud sath-e-chashm-e-zahir mein 
jise maani-e-shair pe e'tibar nahin 
sabab hain aur bhi lekin ba-juz do-harf jawab 
ada-e-zail se maqsud zinhaar nahin 
tumhin kaho hai mera kaun sa karam-farma 
ki jis ki KHatir-e-bargashta mein ghubar nahin 
ho shad-kaami-e-gul-gasht-e-zarf shair kya 
musaf-e-shahr charagah-o-chashma-saz nahin 
shaguft-e-taba ke saman-o-saz hain napaid 
saba nahin chamanistan nahin bahaar nahin 
masham-e-naghma hai aazurda chahchahe KHamosh 
nawa-e-ghuncha nahin nikhat-e-hazar nahin 
nahin bat-e-mai-e-saqi na barbat-e-mutrib 
bisat-e-gul nahin aaghosh-e-gul-ezar nahin 
muhit-e-ghurbat-e-baalin hai KHanuman-sozi 
koi habib nahin koi gham-gusar nahin 
mere kamal ki zamin hai KHud ye qismat-e-gham 
KHusha main KHasta-e-gham to hun sogwar nahin
        Nazm
Imroz
Meem Hasan Lateefi

