apne aanchal pe sitaron se mera nam na likh
main tera KHwab hun palkon mein saja le mujh ko
meri fitrat hai mohabbat ki machalti hui lahar
apne sine ke samundar mein chhupa le mujh ko
zindagi chandni raaton ka hasin rup liye
sang-e-marmar ke jaziron mein utar aai hai
ek tere dast-e-hinai ko chhua hai jab bhi
sat rangon ki faza zehn mein lahrai hai
tere hanste hue honTon ka pighalta hua lams
gungunata hai meri ruh ki tanhai mein
kisi shishe kisi saghar kisi sahba mein kahan
wo jo masti hai tere jism ki angDai mein
apni abreshmin zulfon ke ghanere sae
meri nindon ke shabistanon mein lahrane de
mujh ko hanste hue KHwabon ka muqaddar ban kar
apne hathon ki lakiron mein sama jaane de
Nazm
Iltimas
Prem Warbartani